Sar-e-raah para huwa hoon main patharon ki tarah.

Sar-e-raah para huwa hoon main patharon ki tarah.

Koi taraash de mujh ko bhi moorton ki tarah.



Wo iltefaat hai baaqi na wo karam ki nazar,

Tera mizaaj bhi badla mosamon ki tarah.



Wo jin se mil k utarti thi roshni dil mein,

Gharoob ho gaye wo log soorajon ki tarah.



Ba-ehteyaat karen un se guftagu lekin,

Hamaare dil bhi tu nazuk hain aayinon ki tarah.

Post a Comment

0 Comments