Tazeer-e-Ehtimaam-e-Chaman Kon De Gaya.

Tazeer-e-Ehtimaam-e-Chaman Kon De Gaya.

Mujh Ko Gulaab Jaisa Kafan Kon De Gaya.



Dekhi Jo Khad-o-Khaal To Socha Hai Barha.

Sehra Ki Chaandni Ko Badan Kon De Gaya.



Meri Jabeen Ki Sari Lakerain Teri Ata.

Lekin Teri Qaba Ko Shikan Kon De Gaya.



Tere Hunar Me Khilwat-e-Khushu Sahi Magar.

Kaanton Ko Umar Bhar Ki Chubhan Kon De Gaya.



Jungle Se Pochti Hain Hawaon Ki Barhami.

Jugno Ko Tairgi Me Kiran Kon De Gaya.



Kis Ne Basaaya Aankh Main Ashkoon K Qaaflay.

Be-Ghar Musafiron Ko Watan Kon De Gaya.



Tujh Se To Khair Pal Ki Musafaat Ka Saath Tha.

Mere Badan Ko Itni Thakan Kon De Gaya.



Tora Hai Kis Ne Nok-e-Sinaa Par Sakoot-e-Sabr.

Lab Bastagi Ko Taab-e-Sukhan Kon De Gaya.



Mohsin Wo Kainaat-e-Ghazal Hai Usay Bhi Dekh.

Mujh Se Na Pooch Mujh Ko Ye Fun Kon De Gaya.

Post a Comment

0 Comments