Tum mere dard bhi gham bhi alaam bhi tum,

Tum mere dard bhi gham bhi
alaam bhi tum,
Tum mera chain ho jana mera
araam bhi tum,
Kamyabi ko nahi hum ne tumhe
chaha hai,
Hum tumhare hain bhalay ho gaye
nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar mera
wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jan mera
ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke
mekhaanon ki,
Tumhi nasha tumhi paimaana mera
jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe
sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera
naam bhi tum,
Yeh siyasat bhi ajab khel hai
bholay panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho to
tehdaam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi
ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho,
dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe
sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har
kaam bhi tum..

Post a Comment

0 Comments