Tumhara saath mil jae to sab dukh bhool jaoungi

Tumhara saath mil jae to sab dukh bhool jaoungi

Woh kehti thi k har soorat tumhen apna banaoungi,



Nichawar khuwab kar doungi, tumhare har ishare par,

Kabhi peepal ki chaon men kabhi nadiya kinare par,



Tumhen thandak ata kar doongi ik barsat k manind,

Bikhrte chand jharnon men ujalti raat ki manind,



Mujhe tum se mohabbat hai main logon ko bataoungi,

Woh kehti thi k har soorat tumhen apna banaoungi,



Main chahongi tumhen jaana umangon se ujalon tak..!

Khudi k dasht se le kar naye janmon k salon tak,



Meri thandi si tanhai, sulagti raat jaisi ho,

Mujhe bus saath le jao, bhale barat jaisi ho...

Post a Comment

0 Comments