Bala Ki Dilkash Hein Yaar Aankhein

Bala Ki Dilkash Hein Yaar
Aankhein.
Khizaa'n Ki Rut Mein
Bahaar Aankhein,

Jo Uth Gai To Dua Hein
Logo,
Mohabbato'n Ki Pukaar
Aankhein,

Sabab Hein Merey Sukoon-
e-Dil Ka,
Meri Nazar Ka Qaraar
Aankhein,

Udaasiyo'n Mein Khushi Ki
Sa'at,
K Nafrato'n Mein Hein
Piyaar Aankhein,

Meri Ghazal Ka Hein Ye
Tassawur,
Merey Sukhan Ka Nikhaar
Aankhein,

Wujood Enka Shifa K Jaisa,
Hein Chara Gar
Ghamgusaar Aankhein,

En Hi Ne Hasna Sikhaya
Mujh Ko,
Tabbassumi Khushgawaar
Aankhein,

Ulaj K Tumse Sulajh Gai
Hein,
Hui Hein Tum Pe Nisaar
Aankhein,

Nigah K Gulshan Mein Bus
Gai Hein,
Gulo'n K Jaisi Ye Khaar
Aankhein,

Bhala Mein Kaisey Behek
Na Pao'n,
Mein Be-Khudi Hun
Khumaar Aankhein,

Nahi Hein Koi Tumhary
Jaisi,
Mein Dekh Aya Hazaar
Aankhein,

Tumhari Hasrat Mein Nam
Hui Hein,
Hein Roi Zaar-o-Qataar
Aankhein,

Ajab Hay Soda Ajeeb
Qeemat,
Hay Naqd Ye Dil Udhaar
Aankhein,

Aseer Apna Bana K
Ahmed,
Hui Hein Kaisey Faraar
Aankhein.....!!!

Post a Comment

1 Comments