Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,

Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,
Apni Tasveer Kahaan Bhool Gaya EID Ka Chaand,

Un k Abroey-KhaMeeda Ki Tarah Teekha Hai,
Apni Aankhoon Mein Bari Der Chubha EID Ka Chaand,

Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jaisey,
GhaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand,

Le k Halaat K Seraon Mein Aa Jaata Hai,
Aaj Bhi Halat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand,

Talkhiyan Barh Gayi Jab Zeest K PayMaane Mein,
Ghool k Dard K Maaron Ne Piya EID Ka Chaand,

ChashM To Wusat-E-AflaaQ Mein Khoyi,
Dil Ne Ek Aur Jagah Dhoond Liya EID Ka Chaand ....!!

Post a Comment

0 Comments