Chand raat ko tujhe khud choriyaan pehnaaon main.

Chand raat ko tujhe khud choriyaan pehnaaon main.
Jee karta hai tujhe khud sanwaroN sajaaon main.

Mehndi ki khushboo k saath teri sansoo me utron.
Ho aisa k teri hatheliun mein khud ko bikhraaon main.

Har khushi ki tarah teri zaat me rahoN har lamha.
Tere mukhrey pe kiran si ban kar muskuraon main.

Jaisey hawaa aati hai jaisey chandni aati hon main.
Wo jo khanakti hai chamakti hai teri nazuk kalaaaiun me.

Ho aisa k khud hi wo choriyaan ban jaaon main.

Post a Comment

0 Comments