Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka.

Jis Shaks K Bagair Guzara Na
Ho Saka.
Ye Kiya Sitam K Who Bhi
Hamara Na Ho Saka.

Ankhoon Na Jis K Wasta
Sadiy?On Safar Kiya.
Who Youn Mila K Us Ka
Nazara Na Ho Saka.

Main Ne Har Ek Rukh Pay
Nigahain Bikhair Din.
Lakin Badal Koi Bhi Tumhara
Na Ho Saka.

Jo Rah-E-Guzar Ishq Main
Pathar Banay Rahay.
Un Se Kisi Bhi Tor Kinara Na
Ho Saka.

Mujh Ko Kis Liya Shikwa Ho
Gair Say.
Khud Jub Main Apnay Dukh
Ka Sahara Na Ho Saka.

Post a Comment

0 Comments