Koi kaanta mere dil mein chubo jaaye to acha hai,

Koi kaanta mere dil mein chubo jaaye to acha hai,

Hamesha k liye wo mujh se kho jaaye to acha hai,



Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khuwaab aankhon mein,

Jo hona kal hai wo sub aaj ho jaaye to acha hai,



Kabhi shehar-e-tamanna ne kabhi kisi ne phool paaye kiya,

Ye titlee soch kar kaanton par so jaaye to acha hai,



Kai din se mere ghar k dar-o-deewar hain veeran,

Kisi k wasl ki baarish ho jaaye to acha hai,



Jahaan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,

Mere seeney pe jugnu beej bo jaaye to acha hai,



Main pathar ho gaya hoon gham se aisa reh nahi sakta,

Agar baarish mera chehra bhigo jaaye to acha hai,



Ye maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,

Meri basti mere andar samo'o jaaye to acha hai,



Main ab k chaahta hoon ye k is saawan jo baarish ho,

Puraaney mausmon k rang dho jaaye to acha hai,



Bhanwar se bheek maangey ga? Teri fitrat nahi Sahir,

Tu kashti aap hi apni daboo jaaye to acha hai,

Post a Comment

0 Comments