pardes ki eid

kya sunayain kis haal men ati hai
pardes ki eid
nikal aate hain aansu jab yad ati
hai dess ki eid
rahain woh khush o kuram ghar
mein apne
jin ke liye hum ko rulaati hai
pardes ki eid
aate hain yaad jab woh phool se
chehre us lamhe hum ko
kitna tarpati hai pardes ki eid
kis se galley milain kisey kahain ge
apna hum
bas yun hi guzar jati hai pardes ki
eid
kehte hain har bar bas pardes ki
hai ye akhri eid
agley saal phir aa jaati hai pardes
ki eid

Post a Comment

0 Comments