Rut jAb maazi ki suhani yad aati hai.

Rut jAb maazi ki suhani yad aati hai.

Hamen do premiyon ki kahani yad aati hai.



Majnon sa ik larka pagal yad aata hai,

Laila si ik pagli deewani yad aati hai.



Shab bhar tehelta wo Raja yad aata hai.

Lehaf orrh k roti wo Raani yad aati hai.



FArhaad sa wo pathar sa jazba yad aata hai,

Sheereen si wo moam si jawani yaad aati hai.



Sunati thi jo shAb ko sulaney ki khatir,

Mujhe wo Us burhya ki kahani yad aati hai.



Wo sArd mousam wo canteen wo iqrar e wafa..

Mujhe wo sham decembar ki suhani yad aati hai.



SAmajh mein nahi aata hansoon ya roun

Mujhe jab mere maazi ki nadani yaad aati hai.

Post a Comment

0 Comments