apna Gham bhool gaye teri jafa bhol gaye.

apna Gham bhool gaye teri jafa bhol gaye.

hum to har baat muhabbat ke siva bhol gaye.

hum akele hi nahin pyaar k dewane sanam.

aap bhi nazaren jhukane ki adaa bhol gaye.

ab to socha hai ke daaman hi tera thamenge.

haath jab hamane uthaye hain dua bhol gaye.

shukr samjho ya ise apni shikayat samjho.

tum ne wo dard diya hai k dawa bhol gaye.

Post a Comment

0 Comments