Main Khud Ghareeb Khanay Ka Darban Ban Gaya,


Main Khud Ghareeb Khanay Ka Darban Ban Gaya,

Sanjeedgi Ki Chehray Pe Chaadar To Taan Li,

Par Dil Hi Dil Men Aakhri Sheitan Ban Gaya,

Meri Shareer Nazron Ki Parvaz Thi Buland,

Dekha Jo UsNe Ghoor K Insan Ban Gaya,

Choome Huwe Kali Jo Usay Chomnay Ko Di,
Sharam-O-Haya Ka Rokh Pe Gulistan Ban Gaya,

Shokhi Se Bolay Likho Ghazal Haath Choom Kar,
Par Likhtay Likhtay Husn Ka Deewan Ban Gaya,

Sajda Kara K MujhSe Parhi Khud NaMaZ-E-Shukr,
Kaafir Bana K MujhKo Musalmaan Ban Gaya,

Ik Meh Jabeen K Paaon Pe Ba'iyat Ka Hai Asar,

Har Shokh Husn Mera Qadar Daan Ban Gaya,

Paazeb Din Main Dhoondh K Lotanay Jab Gaya,

Wo Choanka 1 Pal Ko Phir Anjaan Ban Gaya,

Parh Parh K Huns Rahay Hain Wo Apni Shararatein,

Mera Kalam Husn Ki Muskaan Ban Gaya,

Us Apsara Ne Junhi Khareedi Meri Kitaab,

'Shahzad Qais' Zouq Ki Pehchan Ban Gaya..

Post a Comment

0 Comments