Dil hamaara bohat dukha huwa hy

Dil hamaara bohat dukha huwa hy
Or namak posh raasta huwa hy

Khud ko hairat sy daikhty haiN ham
Kya btaayeN keh ham ko kya huwa hy

Saamny barflaaKh manzil ky
Pair maiN aabla paRaa huwa hy

Na koi taara hy na chaand kahiN
Phir amaawas ka saamna huwa hy

Ik dhamaaky ky baad sannaaTa
Hashr shaayed yahiN bapaa huwa hy

Habs ky dor ki ghulaami maiN
Aik Naqsh-e-hawa Daraa huwa hy

Kya kahaiN kis sy haary haiN Aashi
Kis liye aaj sar jhuka huwa hy

Post a Comment

0 Comments