Idraak sy hy mahroom abhi, har baat adhoori hy Aashi

Idraak sy hy mahroom abhi, har baat adhoori hy Aashi
Izhaar ki baNjar dharti par, barsaat adhoori hy Aashi

Sooraj ki kiran maiN taab nahiN, taaroN ki chamak maiN aab nahiN
Har sub'h adhoori lagti hy, har raat adhoori hy Aashi

PhooloN maiN mahakte raNg nahiN, Khushboo maiN chamak aahaNg nahiN
kya paish karooN kya nazr karooN soGhaat adhoori hy Aashi

Khwaahish ka roop sunehra hy, kuch samjhotoN ka pehra hai
Taqseem huwi hooN tukRoN maiN, Yaa... zaat adhoori hy Aashi

Dariya ka kinaara ik jaanib, qismat ka sitaara ik jaanib
Ik sookhay paiR ki saahil par, auqaat adhoori hy Aashi

Khood miTne ki khwaahish ho jahaaN, qurbaani ki saazish ho jahaaN
wo jeet mukammal jeet nahiN wo maat adhoori hy Aashi

Gum sum hai takhayyul ka sargam, Shehnaayi taghazzul ki be dam
Qirtaas-e-sukhan par harfoN ki baaraat adhoori hy Aashi

IKhlaas, eesaar se aari ho , or maqsad kaarobaari ho
wo daan adhooraa hy Aashi, Khairaat adhoori hy Aashi

Post a Comment

0 Comments