Insaan mar raha hy insaan kaT raha hy

Insaan mar raha hy insaan kaT raha hy
Andaikhy waswasoN maiN chup chaap baT raha hy

Samjho Saqoot-e-Dhaaka ibrat nishaaN hy ab tak
HairaaN hooN ta'asub hi ik zubaaN hy ab tak

Na ahl HukmraaN ki taaweel kis liye hy
Insaaniyat ki itni tazleel kis liye hy

Dohraa rahy ho kiyuNkar baNgaal ki kahaani
KiyuN kar rhy ho TukRy Quaid ki ye nishaani

Mahw-e-duaa hy Aashi qaaim rhy watan ab
Aaye na is zameeN par koi watan shikan ab

Post a Comment

0 Comments