Peshawar school attack: It’s a black day for humanity

HOSLA
~~~~~~
Hurmat-e-arz-shaheedaan pe azaan daini thi
Kal bhi is qaum ki khatir mujhy jaaN daini thi
Kya huwa aaj hi gar
Kar liya tay wo safar
Mil gayi mujh ko shahaadat ki haseen tar manzil
Maizbaan mairy hussain
Rahnuma mairy Ali

Mairi ammaan, mairi jannat, mairi pyaari ammi
Sayyada hazrat-e-zainab bhi nahin roi theen
Tairy baity ny bhi dy di hy shahaadat ammi
Hosla syyada zainab ki tarah krna hy
Mairy school ki wardi ko nahin dhona maan
Apny baity ki shahaadat pe nahin rona maan

Post a Comment

0 Comments