Woh qayamat ho, sitara ho kay dil

Woh qayamat ho, sitara ho kay dil
kuch na kuch hijer main tootay to sahi

hum wahin per hi basaa lain khud ko
woh kabhi raah main rokay to sahi

sab say hut ker hi manaana hai usay
hum say ik baar woh roothay to sahi

dil usi waqt sanbhal jaaye ga
dil ka ahwaal woh poochay to sahi

us ki nafrat bhi muhabbat hogi
merey barey main woh sochay to sahi

uskay qadmon mein bicha doon aankhain
meri raahguzar say woh guzray to sahi

us kay sab jhoot bhi sach maan loon "aye dil"
shart sirf itni kay woh bolay to sahi

Post a Comment

0 Comments