Wo mujhe chahta nahi.

Wo mujhe chahta nahi. 
Aarzu-e-wafa karun kaise. 

Wo kisi or ki muhabat hai. 
Do dillon ko juda karun kaise.

Ishq to naam hai qurbani ka.
Ishq me main dagha karun kaise. 

Us ko pana hai zindagi meri.
Par zindagi ko khafa karun kaise.

Sakht uljhan main hoon Wasi. 
Haq-e-Ulfat ada karun kaise.

Post a Comment

0 Comments