Guftugu K Lamhon Mein

Guftugu K Lamhon Mein
Dekh hi nahin patay

Hum tumhray chehray ko
Hum tumhari aankhon ko

Aaj aisa kertay hain
Chasm-0-lab ko parhtay hain

Baat chor detay hain
Janay kya lamha hoga

Jab yeh haath haathon se
Gar kabhi juda hoga

Aaj aisa kertay hain
Zabt-e-Jaan parakhtay hain

Haath chor detay hain
Kash koye samjha dy

Log kis tarah Dil ki
Manzilain alag ker k

Saath chor detay hain
Aaj aisa kertay hain

Be'sabab bikhrtay hain
Zaat tor detay hain

Post a Comment

0 Comments