Kha kay dhoka pee kay aansoo pal raha hoon main,

Kha kay dhoka pee kay aansoo pal raha hoon main,
Ishteha mohabbat ki thi aur dard niggal raha hoon main,

Jafayen ezayen sazayen zindgi say milli hain iss qadar,
Har gharri ab to maut kay liye machal raha hoon main,

Aa kay tu hi ay ajjal mujhay thanda kar day,
Kab say zamanay ki nafraton main jal raha hoon main,

Maan mandar say tore kar har butt uss nay kaha,
Faqat tere liye apna dharram aaj badal raha hoon main,

Aansu ki tarrah zamanay nay mujay girraya hai nazar say,
Apnay labbon pay lay lo kay phissal raha hoon main,

Tareek rah e zindagi main meri woh lai mohabbat k jugnoo,
Unhi jugnuwon ki roshni main ab chal raha hoon main.

Meri zindagi k fallak pay woh hai sooraj ki manind,
Jiss ki mohabbat ki hiddat say pighal raha hoon main,

Apni mohabbat say kar lo mujay apnay bas main jana,
Kay khood apnay hi bas say ab nikkal raha hoon main,

Shab e zawal khattam tuj pay hi ho gi mere dard ki dastan,
Tu ab tallooh bhi ho ja kay dhal raha hoon main. 

Post a Comment

0 Comments