Abhi to naaz kar lo tum zawal aaye to loat aana

Abhi to naaz kar lo tum zawal aaye to loat aana
Bichar k mujh se milne ka khayal aaye to loat aana

Likhon ga mein ghazal koi hamare ishq par jana
Ghazal parhte hi dil mein gar sawaal aaye to loat aana

Meri nakam ulfat ki haqiqat jab samajh jao
Tumhare dil mein gar koi malaal aaye to loat aana

Kabhi meri wafaon par bhi behad naaz tha tum ko
Tumhain darphesh phir wo misaal aaye to loat aana

Tumhari yaad ne surkhi meri aankhon mein bhar di hai
Tumhari aankhon mein bhi rang laal aaye to loat aana

Nahi ho tum mere paband na ye shart hai Sagar

Kabhi jo yaad koi guzra saal aaye to loat aana 

Post a Comment

0 Comments