Jugnoo Ki Roshni Hai Kashana e Chaman Mein

Jugnoo Ki Roshni Hai Kashana e Chaman Mein
Ya Shama Jal Rahi Hai Phoolon Ki Anjuman Mein

Aaya Hai Asman Se Urh Kar Koi Sitara
Ya Jaan Parh Gayi Hai Mehtaab Ki Kiran Mein

Ya Shab Ki Saltanat Mein Din Ka Safeer Aaya
Gharbat Mein Aa K Chamka Ghumnaam Tha Watan Mein

Tukma Koi Gira Hai Mehtab Ki Qaba Ka
Zarra Hai Ya Numayan Suraj Ke Pairhan Mein

Husn e Qadeem Ki Ye Poshida Ek Jhalak Thi
Le Aayi Jis Ko Qudrat Khalwat Se Anjuman

Chote Se Chand Mein Hai Zulmat Bhi Roshni Bhi
Nikla Kabhi Gehn Se Aaya Kabhi Gehn Mein

Parwana Ek Patanga Jugnoo Bhi Ek Patanga
Woh Roshni Ka Talib Ye Roshni Sarapa

Har Cheez Ko Jahan Mein Qudrat Ne Dilbari Di
Parwane Ko Tapish Di Jugnoo Ko Roshani Di

Rangeen Nawa Banaya Murghan e Bezuban Ko
Gul Ko Zuban De Kar Taleem e Khamashi Di

Nazara e Shafaq Ki Khoobi Zawal Mein Thi
Chamka K Is Pari Ko Thori Si Zindagi Di

Rangeen Kiya Sehar Ko Banki Dulhan Ki Soorat
Pehna Ke Laal Jorha Shabnam Ki Aar Si Di

Saya Diya Shajar Ko Parwaz Di Hawa Ko
Pani Ko Di Rawani Moujon Ko BeKali Di

Ye Imtiaz Lekin Ek Baat Hai Humari
Jugnoo Ka Din Wohi Hai Jo Raat Hai Humari

Husn e Azal Ki Paida Har Cheez Mein Jhalak Hai
Insan Mein Woh Sukhan Hai Ghunche Mein Woh Chatak Hai

Ye Chand Asman Ka Shayar Ka Dil Hai Goya
Waan Chandani Hai Jo Kuch Yaan Dard Kasak Hai

Andaz e Guftugoo Ne Dhoke Diye Hain Warna
Naghma Hai Bu e Bulbul Boo Phool Ki Chehak Hai

Kasrat Mein Ho Gaya Hai Wahdat Ka Raaz Makhfi
Jugnoo Mein Jo Chamak Hai Woh Phool Mein Mehak Hai

Ye Ikhtilaf Phir Kyun Hangamon Ka Mehal Ho

Har Shay Mein Jabke Pinhan Khamoshi e Azal Ho

Post a Comment

0 Comments