Jo dil Nasheen the hum ko ishare badal gaye

Jo dil Nasheen the hum ko ishare badal gaye
Andaz dekhne k tumhare badal gaye

dete sabak the hum ko wafaon ka har ghari
kyun meherban hamare wo pyare badal gaye

jin ko samajh raha tha k hain qafla mera
mushkil mein apna rasta wo sare badal gaye

ek umar dhoob kar jo kabhi parr hum lage
umeed jin se thi wo kinare badal gaye

rehte the jin k bich kabhi chaand ki tarhan
toota yon asman k wo tare badal gaye

jis ankh se tha sikha in aankhon ne bolna
us k bhi yak ba yak hi ishare badal gaye

kitna bhi soch lijeye magar faisala na ho
nazrein badal gai ya nazare badal gaye

ilzam waqat par bhi to kuch dijiye janab
sab naam le k jis ka hamare badal gaye

un se jawab chahiye Abrak hamain ye bas
kab larkharaye hum k sahare badal gaye

Post a Comment

0 Comments