teergi main bhi roshni hai naa

teergi main bhi roshni hai naa
jo bhi hai, dard dayemi hai naa

is qadar be takallufi toba
sach batao yeh dil lagi hai naa?

main jisay yaad ata rehta hon
wo mera dost matlabi hai naa!

us ne badli hui hain ankhen bhi
us k lehjay main barhami hai naa!

tu ne bola hai, han bicharna hai
"han" ka matlab hansi khushi hai naa?

meri ankhon main jo bhi hai choro
mere seenay main be kalli hai naa!

tujh se le kar tujhi talak hai bas
meri itni c zindgi hai naa!

to kaho aaj kya irada hai?
aaj ki shaam surmayi hai naa!

khamshi! kiua tujhay ganwaon main?
tu muje vajd main mili hai naa!

shayeri, dard, be baha chahat
ab mere pas bas yehi hai naa!

ab tere aor mere bicharnay ka
fesla bhi to baahmi hai naa!

ab muje yaad to na ao gay?
yaani yeh hichki akhri hai naa

Post a Comment

0 Comments