Youn kahani to sunani nahi ati mujh ko

Youn kahani to sunani nahi ati mujh ko
Kya karon? Baat ghumani nahi ati mujh ko

Kar diya kartay hain aansu mere gham ko zaahir
Ik nishani bhi chupani nahi ati mujh ko

Ishq kartab to nahi hai mere masoom sifat
Jheel main aag lagani nahi ati mujh ko

Tum bhi ab din ma mulaqaat ki zehmat karna
Chaandni raat churaani nahi ati mujh ko

Apni janib tujhay kis dhab se karon ga mayel
Ik tawajja bhi dilani nahi ati mujh ko

WO jo pehle bhi batatay huye dil darta tha
Ab bhi wo baat batani nahi ati mujh ko

Din nikalne ko hai so jao khudara ab to
Koi pariyon ki kahani nahi ati mujh ko

Post a Comment

0 Comments