aa suhani si shaam walay aa

aa suhani si shaam walay aa
ae sunehri se naam walay aa

aa k ab sabr ho nahi sakta
zabt k ehtamaam walay aa

aa k biknay pe main bhi razi hon
aa ja achay se daam walay aa

mujh pe chain o sakoon nahi jachta
dard k intiqaam walay aa

aa meri tishnagi ka chara kar
aa nigahon k jaam walay aa

aa k muddat guzar gayi ab to
mere dil main qayaam walay aa

Post a Comment

0 Comments