ab to ghar janay pe dukh hota hai

ab to ghar janay pe dukh hota hai
youn theher janay pe dukh hota hai

itna manoos nahi hojatay
phir bichar janay pe dukh hota hai

wo gali ab bhi hai wesi lekin
bas guzar janay pe dukh hota hai

aik din ho to guzar bhi jaye
roz mar janay pe dukh hota hai

ab ye bachpan to nahi so hum ko
aisay dar janay pe dukh hota hai

saaf goyi thi munasib phir bhi
bas mukar janay pe dukh hota hai

tum jahan hum se mila kartay thay
ab udhar janay pe dukh hota hai

is liye phool nahi hota main
bas bikhar janay pe dukh hota hai

hum to maqtal bhi khushi se jayen
ab kidhar janay pe dukh hota hai

Post a Comment

0 Comments