bas gayi phir dil ki basti khwaab main

bas gayi phir dil ki basti khwaab main
dekh li jab aik hasti khwaab main

neend ki vaadi to jal thal ho gayi
ankh ab kitna barasti khwaab main

aik ko mailay se le aya tha main
aik guriya hai tarasti khwaab main

kitni mehngi par gayi ha jaag kr
thi yeh dunia kitni sasti khwaab main

ab bulandi per puhnch jaon ga main
dekh li hai main ne pasti khwaab main

waqt ki be dard nagan tuu kabhi
kash mujh ko sirf dasti khwaab main

ho gya main jaag kar kitna ghani
kis liye thi tung dasti khwaab main

Post a Comment

0 Comments