dahst e gham se guzar k aaya tha

dahst e gham se guzar k aaya tha
yaar main ban sanwar k aaya tha

aik mujh jald baaz ki khatir
tu bhi kitna theher k aya tha

phir se maqtal main le gaye mujh ko
daar se hi utar k aya tha

tujh se milne Aanaon se apni
aaj main lar jhagar k aaya tha

roothnay walay ik teri khatir
main kisi se bichar k aaya tha

kis tarah us k sung chalta main
wo zamany se dar k aaya tha

Post a Comment

0 Comments