hain mehki mehki fizayen k aaj tum aye

hain mehki mehki fizayen k aaj tum aye
hain mehv e raqs hawayen k aaj tum aye

tumharay vastay rab k huzoor mangi hain
sukhon ki sari duayen k aaj tum aye

tamam umr mubarik rahay, dua hai aaj
talain tamam balayen, k aaj tum aye

kabhi zavaal ka lamha na zeest main utray
sada hon rab ki atayen k aaj tum aye

yeh din khushi ka bohot hai suno azeez e mann
chalo na jashn manayen k aaj tum aye

Post a Comment

0 Comments