har shay ka aghaz muhabbat, aor anjam muhabbat hai

har shay ka aghaz muhabbat, aor anjam muhabbat hai
dard k maray logon ka bas ik pegham muhabbat hai

yeh jo muj se puch rahay ho, "man mandir ki devi kon?"
mere achay logon sun lo, "us ka naam muhabbat hai!"

shiddat ki loo ho ya sard hawayen is ko ka parwaa
kaanton k bistar per bhi mehv e araam muhabbat hai

bin boolay ik dil se doojay dil tak baat puhonchti hai
jo aisay roohon per utray wo ilhaam muhabbat hai

paglay! daman bandh jati hai jis k bakht main likhi ho
tum kitna bhago gay, aagay har har gaam muhabbat hai

ab to bas ik yaad saharay waqt guzarta rehta hai
aor us yaad main har ik subho har ik shaam muhabbat hai

hum jese pagal deevanay, sood khasara kya janen
nafrat k is sheher main apna aik hi kaam muhabbat hai

ik larki aadhay rastay main haat gayi apna jeevan
wo shayed yeh maan chuki thi, bad farjaam muhabbat hai

kuch aalooda rohon walay, hawas pujari hotay hain
zain inhi logon k baes hi badnaam muhabbat hai

tu pagli! ab kin sochon main gum sum bethi rehti hai
bola hai na ab yeh sari tere naam muhabbat hai

Post a Comment

0 Comments