is bar bhi main wajh e khasara samajh gaya

is bar bhi main wajh e khasara samajh gaya
aakhir dil e tabah dobara samajh gaya

kuch wo bhi ab mazeed maseeha nahi raha
kuch youn hua k main bhi ishara samajh gaya

tum kis tarah se jeet gaye yeh pata nahi
acha to is tarah se main haara samajh gaya

khud ko bhi ab saraab hi lagne laga hon main
gardaab ko main aaj kinara samajh gaya

tum ne kaha k tum bhi nahi apne aap k
main sada loh khud ko tumhara samajh gaya

hota raha qasoor yehi aik umr bhar
be aasron ko main jo sahara samajh gaya

Post a Comment

0 Comments