jaag kar main guzaar deta hon

jaag kar main guzaar deta hon

raat k badmizaj wo lamhay
chand jin main bohot akela ho

raat k na muraad wo lamhay
jin main be chain c koi mayyat

zindgi k liye tarasti ho
aor ghutt ghutt k saans leti ho

aor taaron main soag barpa ho
raat k be qarar wo lamhay

jin main ankhen faqat barasti hon
ik teri deed ko tarasti hon

raat k be sabaat wo lamhay
hosla jin main toot jata hai

hijr bhi shaan se khara ho kar
door se qehqahay lagata hai

raat k in tamaam lamhon ko
tu na aa kar guzaar deta hai

Post a Comment

0 Comments