khamshi ko tatolta hua tu

khamshi ko tatolta hua tu
baat main zehr gholta hua tu

aj bas ghor se suna main ne
mere lehjay main bolta hua tu

main pirota hua tujhay in main
mere alfaaz tolta hua tu

aaj phir se mujhay nazar aya
rung udasi main gholta hua tu

phir wohi thaamta hua ik main
phir musalsal hai dolta hua tu

de k dastak main kash phir dekhon
dar ko chup chaap kholta hua tu

Post a Comment

0 Comments