koi na aap sa mila baba

jo bhi aya tha fesla baba
kar liya main ne hosla baba

ap to baat bhi nahi kartay
kya karon ap se gila baba

janay kab tak muje nibhana hai
ik murawwat ka silsila baba

koi be sayeban hai muddat se
kya yehi hai yahan sila baba

ap k baad kuch saharay thay
koi na aap sa mila baba

kat'ta hon jo katt nahi sakta
zindgi ka yeh marhala baba

sach kahon ap yaad atay hain
keh raha hon yeh barmalaa baba

yeh suna tha k bhar hi jatay hain
per koi zakhm na sila baba

jhoot hain niyyatain zamanay ki
jhoot hai sara silsila baba

Post a Comment

0 Comments