main bhi din raat sarabon main para rehta hon

main bhi din raat sarabon main para rehta hon
aankh khulne pe bhi khwabon main para rehta hon

main ne vaday to tere gin k nahi rakhay thay
janay phir kese hisaabon main para rehta hon

tujh se pehle bhi azabon main para rehta tha
tu nahi hai to azabon main para rehta hon

meri mehfil main to bas dukh hi parray rehtay hain
itna acha hon kharabon main para rehta hon

jab wo milne ki koi baat nahi karta naa
main bhi chup chaap hijabon main para rehta hon

Post a Comment

0 Comments