sab mujhe baap ki jageer samajh bethay hain

tujh ko har shair main tajseem nahi karna naa
main ne har baat ko tasleem nahi karna naa

daagh hain phir bhi tera husn mukammal tar hai
maham e mann tujhay do neem nahi karna naa

apne andar hi kisi roz basa lena hai
zarb de kar tujhay taqseem nahi karna naa

ishq hum ne to tujhay maan liya hai murshid
per tujhay sajda e tazeem nahi karna naa

muntazir umr talak yaar main reh lon par tum
aaj bas sheen alif meem nahi karna naa

ik khushi aa k kayi zakhm laga jati hai
zindgi youn tujhay tasleem nahi karna naa

sab mujhe baap ki jageer samajh bethay hain
aik bas tum mujhay taqseem nahi karna naa

Post a Comment

0 Comments