tanhayi main deep jalana shehzdi

tanhayi main deep jalana shehzdi
aisay meri yaad manana shehzadi

dekho agay shaam ka gehra jungle hai
dekho zyada door na jana shehzadi

har ik shay se dhool hatana rozana
phoolon se guldaan sajan shehzadi

titli ki har baat chupana per phir bhi
saray jugnu paas bulana shehzadi

main khushbu main rung mila kar lata hon
tum kaghaz ka phool banana shehzadi

kese tum ko roz manaya karta tha
sari baten bhool na jana shehzadi

in ankhon main pyas bhari hai sehra ki
tum ankhon se pyaas bujhana shehzadi

teri khatir loat k aye shehzada
ab na aisay khwab sajana shehzadi

Post a Comment

0 Comments