tera sheher kitna tha moatabar meri ankh mein

tera sheher kitna tha moatabar meri ankh mein
k basa hua tha tera jo ghar meri ankh mein

koi abr tha jo abhi talak na baras saka
koi ashk bhi hua darbadar meri ankh mein

mere ansuon main meri yeh zaat to beh gayi
raha aik shakhs hi umar bhar meri ankh mein

zara tehher raat ki teergi abhi sabr kar
koi kar raha hai abhi safar meri ankh mein

meri har nazar bhi bulandiyon se paray gayi
hua janay kis ka abhi guzar meri ankh mein

abhi is main phelnay lag gayi hai udaas rutt
abhi ho raha hai tera asar meri ankh mein

Post a Comment

0 Comments