tera wo nigahon se bolna nahi bhoolna

tera wo nigahon se bolna nahi bhoolna
meri har nigah ko tolna nahi bhoolna

yeh kali ka khilna to khoob hai mere dosta
mujhay us ka ankhon ko kholna nahi bhoolna

kabhi aor koi nasha kiya to nahi magar
teri yaad main mera dolna nahi bhoolna

mujhay apna kehna wo baton baton main bhool se
tera ras wo kanon main gholna nahi bhoolna

tera sara sheher mere khilaf khara tha per
mere haq main ik tera bolna nahi bhoolna

tera ik nazar mujhay dekhna wohi pyaar se
hai mujhay qasam mere dholna nahi bhoolna

Post a Comment

0 Comments