tumhain dil main utara ja raha hai

tumhain dil main utara ja raha hai
so youn jeevan sanwara jaa raha hai

ab apni zaat k gumbad main jaana
faqat tum ko pukara jaa raha hai

tumhain ab kya batayen waqat kese
tumharay bin guzara jaa raha hai

tumhain har shair main tarteeb de kar
ghazal ka rukh nikhara ja raha hai

sabhi kehtay hain mujh ko dekh kar yeh
wo dekho gham ka maara jaa raha hai

nahi yeh "waqat" lotay ga kabhi phir
tum aajao khudara, jaa raha hai

hamain pagal nahi kehtay to phir kiyun
hamain pathar se mara jaa raha hai

zara miqdaar chahat ki barha lo
batao kya tumhara jaa raha hai

Post a Comment

0 Comments