zara si der mere sath tum chalay aao

zara si der mere sath tum chalay aao
abhi to sheher ko main ne jawab dena hai

yeh apna tarz e karam ab ki bar badlo na
k ab bhi tum ne purana azab dena hai

abi talak wo meri ankh main nahi utra
tumhari ankh ko main ne jo khwaab dena hai

kabhi tumharay sitam samne to ayen gay
kabhi to tum ne khuda ko hisab dena hai

Post a Comment

0 Comments