Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechHay
Hum TooT k qadmon main bikhartay bhi to kaisay

Ilzaam ye aata k Tujhay bhool gaye thay

Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay

Kia khaak Muqaddar se koi Hum ko gila ho

BigRon k Muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisay

Mehroom hi rehtay jo Tere radd- e-amal say

Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisay

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo Hum nay

Hum ab kisi Toofaan se Dartay bhi to kaisay

Ek paaki-e-damaan pe sada Naaz raha tha

Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisay

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi

Us raah se Hum Roz guzartay bhi to kaisay

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti

Dunya! Tera Tawaan jo bhartay bhi to kaisay

Bach kar na nikal paaye Saraab ishq se un kay

Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisay.

Post a Comment

0 Comments