Tujhe khoo kar bhi tujhay paaon jahan tak dekhun
Husn-e- yazdan se tujhe husn-e-butan tak dekhun
tune yun dekha hai jaisay kabhi dekha hi na tha
Mai tu dil mai teray qadmon ke neeshan tak dekhun
Sirf iss shoq se poochi hain hazaron baatein
Mai tera husn, teray husn-e-bayan tak dekhun
Meray veerana-e-jaan mai teri yaadon ke toofail
Phool khiltay nazar aatay hain, jahan tak dekhun
Waqt ne zehan mai dhudhla diye teray khad-o-khaal
Yun tu mai toottay taaron ka dhuwan tak dekhun
Dil gaya tha tu ye aankein bhi koi lai jata
Mai faqat aik hi tasveer kahan tak dekhun
Ik haqeqat sahi, firdos mai huroon ka wajood
Husn-e-insaan se nibat lun tu wahan tak dekhun