Kitni girhein kholi hai main ne.
Kitne girhein ab baaki hain.
paon mein payal.
baho mein kangan.
gale mein hansli,
kamarband,challe aur bichuye,
naak kaan chidwaye gaye .
aur zewar zewar kehte kehte.
reet riwaaz ki rassiyo se mein jakri gayi.
kitni tarah mein pakri gai.
ab chhilne lage hain haath paao aur kitni kharashe ubhri hain.
kitni girhein kholi hai meine kitni rassiya utri hain.
Aang Aaang Mera roop rang.
mere naksh naine mere bol.
meri awaaz mein koyal ki taarif hoi.
meri zulf saap meri zulf raat.
zulfo me ghata mere laab gulab aankhein sharaab.
ghazalein aur nazmein kehte kehte.
main husn aur ishq k afsaano me jakri gayi
kitni tarah mein pakri gayi
Mein poonchoo zara Aakhon me sharab dikhi sab ko.
Aakaash nahi dekha koi.
sawan bhado to dikhe magar.
kya dard nahi dekha koi..?
phan ki jhili si chadar me but chile gaye uryani k.
taga taga kaarke poshaaq utari gaayi
mere jism pe fan ki mushq hoi.
aur aap panha kehte kehte sange marmar pe jakri gay.
batlaye koi...
batlaye koi kitni girhein kholi hai maine.
kiti girhein aab baaki hain.
0 Comments