BeRabt Husn o Ishq ye Kaif o Asar kahan..
Thi Zindagi Azeez magr Is Qadar kahan..
Tery Baghair Ronaq e Deewar o Dar kahan..
Shaam o Sahar ka Naam hy, Shaam o Sahar kahan..
Kya Jaaniye Khyal kahan hy Nazar kahan..
Teri Khabar k Baad Khud Apni Khabar kahan..
Maana k Mohtasib bhi Barra BaShaoor hy..
Lekin Usy Nazakat e Gham ki Khabar kahan..
Keheny ko Ahl e Ilm ki koi Kami nhi..
Lekin Khud Apni Fikr, Khud Apni Nazar kahan..
Tark e Taaluqat ko Mudat guzar chuki..
Zaalim! Tery Khyal sy phir bhi Mufar kahan..
Arsa hua k Rasm e Mohabat Badal chuki..
Daaman sy Wo Muaamla e Chashm e Tar kahan.
0 Comments