Jo khabar pohanchi yahan tak asal soorat mein na thi,

Jo khabar pohanchi yahan tak asal soorat mein na thi,

Thi khabar achi magar,Ehl-e-khabar achey na they,



Bastiyon ki zindagi mein bezari ka zulm tha,

Log achey they wahan k, Ehl-e-zar achey na they,



Hum ko khubaan me nazar ati theen kitni khoobiyan,

Jis qadar achey lage they, is qadar achey na they,



Is liye ai nahi ghar me muhbat ki hawa,

Is muhabat ki hawa k, Muntazir achey na they,



Ik khayal-e-khaam hi murshad tha inka aye

Yani apne shehr me Ehl-e-nazar achey na they.

Post a Comment

0 Comments