Ik jabar hai ab ehsas-e-wafa, ye dil mein basaana theek nahi,

Ik jabar hai ab ehsas-e-wafa, ye dil mein basaana theek nahi,

Ab saaz-e-dil afsurda par, is geet ko gaana theek nahi,



Tum bhool chukey ye sub behtar,

tum chorr chaley ye aur acha,

Khuwaboo'n mein magar majboron k ye aana jaana theek nahi,



Keh do k nahi hum mil saktey,

keh do k koi majboori hai,

Lakin ye laboo'n tak laa laa kar,

baatoo'n ko chupaana theek nahi,



Ay shoq-e-junoon ab baaz bhi aa, kuch maan bhi ly tu mera kaha,

Jo jaan k bhi anjaan bany, gham us ko sunaana theek nahi,



Ab chorr bhi do deewana pan, ab bhool bhi jaao maazi ko,

Ye pal pal har pal khalwat mein, ashkoo'n ka bahaana theek nahi...

Post a Comment

0 Comments