Jaagein Ge Kisi Roz To Is Khuwaab-e-Tarab Se,
Hum Phool Hi Chuntay Rahay, Baghicha-e-Shab Se,
Phir Aik Safar Aur Wohi Harf-e-Rafaaqat,
Samjhay Thay Guzar Aaye Hum, Teri Talab Se,
Khush Dil Hai Agar Koi To, Kiya Uss Ka Yahaan Kaam,
Ye Bargaah-e-Gham Hai, Qadam Rakho Adab Se,
Ab Mausam-e-Jaan Se Bhi Yaqeen Uthne Laga Hai,
Dekha Hai Tujhe Rung Badalte Huwey Jab Se,
Yahan Bhi Wohi Begana Ravi Apni Khuda Si,
Mangi Jo Kabhi Koi Dua Shehar K Rab Se,
Choonki Hoon To Dekha K Wo Humraaz Nahi Hai,
Uljhan Main Hoon Kis Baat Pe Kis Morr Pe, Kab Se,
Ye Darkhor-e-Hungama To Pehle Bhi Kahaan Thi,
Hol Aaye Magar Aaj To Viraan-e-Shab Se,
Kuch Dost Bhi Ziyada Masroof Howay Aur Kuch,
Hum Door Hain, Afsurdagi-e-Dil K Sabab Se ..
0 Comments